कोई जो मिला तो मुझे ऐसा लगता था जैसे मेरी सारी दुनिया में गीतों की रुत और रंगों की बरखा है, ख़ुशबू की आँधी है महकी हुई सी अब सारी फ़िज़ाएँ हैं बहकी हुई सी अब सारी हवाएँ हैं खोई हुई सी अब सारी दिशाएँ हैं बदली हुई सी अब सारी अदाएँ हैं जागी उमंगें हैं, धड़क रहा है दिल साँसों में तूफ़ाँ है होंठों पे नग़्मे हैं, आँखों में सपने हैं सपनों में बीते हुए सारे वो लम्हे हैं जब कोई आया था, नज़रों पे छाया था दिल में समाया था कैसे मैं बताऊँ तुम्हें कैसा उसे पाया था? प्यारे से चेहरे पे बिखरी जो ज़ुल्फ़ें तो ऐसा लगता था जैसे कोहरे के पीछे एक ओस में धुला हुआ फूल खिला है जैसे बादल में एक चाँद छुपा है और झाँक रहा है जैसे रात के पर्दे में एक सवेरा है रोशन-रोशन आँखों में सपनों का सागर जिसमें प्रेम सितारों की चादर जैसे झलक रही है लहरों-लहरों बात करे तो जैसे मोती बरसे जैसे कहीं चाँदी की पायल गूँजे जैसे कहीं शीशे के जाम गिरे और छन से टूटे जैसे कोई छिप के सितार बजाए जैसे कोई चाँदनी रात में गाए जैसे कोई हौले से पास बुलाए कैसी मीठी बातें थीं वो, कैसी मुलाक़ातें थीं वो जब मैंने जाना था नज़रों से कैसे पिघलते हैं दिल और आरज़ू पाती है कैसे मंज़िल और कैसे उतरता है चाँद ज़मीं पर कैसे कभी लगता है स्वर्ग अगर है तो बस है यहीं पर उसने बताया मुझे और समझाया मुझे हम जो मिले हैं, हमें ऐसे ही मिलना था गुल जो खिले हैं, उन्हें ऐसे ही खिलना था जन्मों के बंधन, जन्मों के रिश्ते हैं जब भी हम जन्मे तो हम यूँ ही मिलते हैं कानों में मेरे जैसे शहद से घुलने लगे ख़्वाबों के दर जैसे आँखों में खुलने लगे ख़्वाबों की दुनिया भी कितनी हसीं और कैसी रंगीं थी ख़्वाबों की दुनिया जो कहने को थी, पर कहीं भी नहीं थी ख़्वाब जो टूटे मेरे, आँख जो खुली मेरी होश जो आया मुझे, मैंने देखा, मैंने जाना वो जो कभी आया था, नज़रों पे छाया था, दिल में समाया था जा भी चुका है और दिल मेरा है अब तन्हा-तन्हा ना तो कोई अरमाँ है, ना कोई तमन्ना है, और ना कोई सपना है अब जो मेरे दिन और अब जो मेरी रातें हैं उनमें सिर्फ़ आँसू हैं, उनमें सिर्फ़ दर्द की रंज की बातें हैं और फ़रियादें हैं मेरा अब कोई नहीं मैं हूँ और खोए हुए प्यार की यादें हैं मैं हूँ और खोए हुए प्यार की यादें हैं मैं हूँ और खोए हुए प्यार की यादें हैं | Koi jo mila to mujhe aisa lagta tha Jaise meri saari duniya main geeton ki rut Aur rangon ki barkha hai, Khushbu ki aandhi hai Mehki hui si ab saari fizaayen hain Behki hui si ab saari hawaayen hain Khoyi hui si ab saari dishaayen hain Badali hui si ab saari adaayen hain Jaagi ummengein hain, dhadak raha hai dil Saason main toofaan hain Hoton pe nagme hain, aakhon main sapne hain Sapnon main beete hue saare woh lamhe hain Jab koi aaya tha, nazron pe chhaya tha Dil main samaya tha Kaise main bataun tumhe Kaise use paaya tha Pyaare se chehre pe bikhri jo julphen To aisa lagta tha jaise kohre ke pichhe Ek os main dhula hua phool khila hai jaise Badal main ik chaand chhupa hai Aur jhaank raha hai Jaise raat ke parde main ek savera hai Roshan roshan aakhon main sapnon ka saagar Jismain prem sitaron ki chadar Jaise jhalak rahi hai Lahron lahron baat kare to jaise moti barse Jaise kahin chandi ki payal goonjey Jaise kahin sheeshe main jaam girey aur chhann se tutey Jaise koi chhip ke sitaar bajaye Jaise koi chandni raat main gaye Jaise koi hole se paas bulaye Kaisi mithi baatain thi woh, kaisi mulakaatein thi woh Jab maine jaana tha nazron se kaise pighalte hain dil Aur aarzoo paati hai kaise manzil Aur kaise utarta hai chaand jameen par Kaise kabhi lagta hai swarg agar hai to bas hai yahin par Usne bataya mujhe aur samjhaya mujhe Hum jo mile hain, humain aise hi milna tha Gul jo khile hain, unhe aise hi khilna tha Janmo ke bandhan, Janmo ke rishtey hain Jab bhi hum janme to hum yahin milte hain Kaanon main mere jaise shahed sa ghulne lage Khwaabon ke dar jaise aakhon main khulne lage Khwaabon ki duniya bhi kitni haseen aur kaisi rangeen thi Khwaabon ki duniya jo kahne ko thee par kahin bhi nahi thi Khwaab jo toote mere, aakh jo khuli meri Hosh jo aaya mujhe, maine dekha maine jaana Woh jo kabhi aaya tha, nazron pe chhaya tha, dil main samaya tha Ja bhi chuka hai aur dil mera ab hai tanha tanha Na to koi armaan hai, na koi tamanna hai, aur na koi sapna hai Ab jo mere din aur ab jo meri ratain hain Unmain sirf aansoon hain, unmain seif dard ki Ranj ki batain hain aur pharyaadein hain Mera ab bhi koi nahi Main hoon aur khoye hue pyaar ki yaadein hain Main hoon aur khoye hue pyaar ki yaadein hain Main hoon aur khoye hue pyaar ki yaadein hain. |